Dawaat-e-dil mein dubo kar kalam nikala hai
Zamzam-e-dard se do boondh nam nikala hai
Tangi-e-dil ka kya ho ilm humko jab hamne
Dasht-e-dil se shaala-e- dharam nikaala hai
Jigar baaki ho tho beshaq shouq farmaayen
Humne tho dil hi se shouq-e-sanam nikaala hai
Kyon jeeta hai teri zulf ke sar hote tak?
Ghata ne ek hi jhonke se dum nikaala hai
Samajh ke Khuda ka khudii se bair humne
Sajde se saayaa-e-sharam nikaala hai
Hairat hai zabt-e-umeed ka ke zoya tumne
Dasht-e-khaar mein phir rista kadam nikala hai
2 comments:
sanam ko dil se nikaala to kya
sanam to mann mein rehta hain
sanam to woh heh jiska khayal hi sukoon laata hein
Sanam to woh heh jo door hoke bhi hamesha mann mein rehta hain
Sanam ko chaha nahin jaata,
Sanam se to pyar kiya jaata hein
Dard to Chahat se juda hein,
Usko pyar mein kyun laana
Chahat ke liye khuda to kyon toke ?
Usne to pyar se sukoon diya hain
come on k'uvvat! post! post! post!
Post a Comment