Saturday, June 13, 2009

Dawaat-e-dil

Dawaat-e-dil mein dubo kar kalam nikala hai

Zamzam-e-dard se do boondh nam nikala hai


Tangi-e-dil ka kya ho ilm humko jab hamne

Dasht-e-dil se shaala-e- dharam nikaala hai


Jigar baaki ho tho beshaq shouq farmaayen

Humne tho dil hi se shouq-e-sanam nikaala hai


Kyon jeeta hai teri zulf ke sar hote tak?

Ghata ne ek hi jhonke se dum nikaala hai


Samajh ke Khuda ka khudii se bair humne

Sajde se saayaa-e-sharam nikaala hai


Hairat hai zabt-e-umeed ka ke zoya tumne

Dasht-e-khaar mein phir rista kadam nikala hai