Do chaar zulm gar aur kar kahin ho ke ho mera guzar
Hun jo jaan-balab ye chaaragar, tere hunar ka asar
Ab unke ghar mein dhoop hain na apne ghar hoga sahar
Kal tak jo tha hara-bhara jo ped tha yahin khada
Aaj dekha raakh-e-tar kahan yakeen huaa magar?
Jo sheesh mein dikhe mujhe woh main hi hun ya aur hai?
Jo sawaal ye khadaa kare mujhi mein hai ya digar?
Shikaar-e-Dahr-e-talab huaa asvi tera mera shehar
2 comments:
Ye kaisi rukhsati hai, ye kya saleeka hai...
Tot, I love the sounds you've arranged in this line: Ye masaaib rozgaar ki ye shikan ye naraazgi
Dil halka hua ke nahin?
Thanks Satal.
Not too concerned about this distant, limited grief.
Like (who was it that said?)-
Apni tho ab tamaam hui qayanaat-e-gum
Do ashq the jo deeda-e-tar se guzar gaye
What still bothers me is-
Ashq ponchaa hi thaa woh raahrou yaade aaye
Hudood-e-gum pe jo ab bhi kiye saudaa baithe hain
Post a Comment