Saturday, August 09, 2008

Monsoon Medley


an ocean came down

today

in a drizzle


The sun bright

The rain right

Stars in puddle


cocooned in the

window seat

till the roof dripped



Geele pe gila karenge na keechad ko kosenge hum

Abde minnaton se barsa hai abr-e-karam ab ke


Saturday, August 02, 2008

Coming to a formal feeling


Na leke jaao...


Do chaar zulm gar aur kar kahin ho ke ho mera guzar

Hun jo jaan-balab ye chaaragar, tere hunar ka asar


Nigal gayee jinhen raat woh sawaabit kahin aur ke

Ab unke ghar mein dhoop hain na apne ghar hoga sahar


Kal tak jo tha hara-bhara jo ped tha yahin khada

Aaj dekha raakh-e-tar kahan yakeen huaa magar?


Jo sheesh mein dikhe mujhe woh main hi hun ya aur hai?

Jo sawaal ye khadaa kare mujhi mein hai ya digar?


Ye masaaib rozgaar ki ye shikan ye naraazgi

Shikaar-e-Dahr-e-talab huaa asvi tera mera shehar